duniyā  bhī  pesh  aa.ī  bahut  be-ruḳhī  ke  saath
ham  ne  bhī  zaḳhm  khaa.e  baḌī  sādgī  ke  saath
ik  musht-e-ḳhāk  aag  kā  dariyā  lahū  kī  lahr
kyā  kyā  rivāyateñ  haiñ  yahāñ  aadmī  ke  saath
apnoñ  kī  chāhatoñ  ne  bhī  kyā  kyā  diye  fareb
rote  rahe  lipaT  ke  har  ik  ajnabī  ke  saath
jañgal  kī  dhuup  chhāñv  hī  jañgal  kā  husn  hai
sāyoñ  ko  bhī  qubūl  karo  raushnī  ke  saath
tum  rāste  kī  gard  na  ho  jaao  to  kaho
do-chār  gaam  chal  ke  to  dekho  kisī  ke  saath
koī  dhuāñ  uThā  na  koī  raushnī  huī
jaltī  rahī  hayāt  baḌī  ḳhāmushī  ke  saath