har  but  yahāñ  TuuTe  hue  patthar  kī  tarah  hai
ye  shahar  to  ujḌe  hue  mandar  kī  tarah  hai
maiñ  tishna-e-dīdār  ki  jhoñkā  huuñ  havā  kā
vo  jhiil  meñ  utre  hue  manzar  kī  tarah  hai
kam-zarf  zamāne  kī  hiqārat  kā  gila  kyā
maiñ  ḳhush  huuñ  mirā  pyaar  samundar  kī  tarah  hai
is  charḳh  kī  taqdīs  kabhī  raat  ko  dekho
ye  qabr  pe  phailī  huī  chādar  kī  tarah  hai
maiñ  sang-e-tah-e-āb  kī  sūrat  huuñ  jahāñ  meñ
aur  vaqt  bhī  so.e  hue  sāgar  kī  tarah  hai
rote  haiñ  bagūle  mire  dāman  se  lipaT  kar
sahrā  bhī  tabī.at  meñ  mire  ghar  kī  tarah  hai
ash.ār  mire  dard  kī  ḳhairāt  haiñ  'aḳhtar'
ik  shaḳhs  ye  kahtā  thā  ki  ġham  zar  kī  tarah  hai