chāñdnī  ke  haath  bhī  jab  ho  ga.e  shal  raat  ko
apne  siine  par  sambhālā  maiñ  ne  bojhal  raat  ko
raat  bhar  chhāyā  rahā  ghar  kī  fazā  par  ik  hirās
dastakeñ  detā  thā  dar  par  koī  pāgal  raat  ko
chāñdnī  meñ  ghul  gayā  jab  dil  kī  māyūsī  kā  zahr
maiñ  ne  ḳhud  kafnā  diyā  sāyoñ  meñ  komal  raat  ko
karb  ke  laave  ubalte  the  sukūñ  ke  ās-pās
uf  vo  nīndeñ  vo  girāñ-ḳhvābī  kī  daldal  raat  ko
aaj  phir  dhundlā  ga.ī  'aḳhtar'  mirī  shām-e-firāq
sochtā  huuñ  aaj  phir  barseñge  bādal  raat  ko