jo  sañg  ho  ke  mulā.em  hai  sādgī  kī  tarah
pighal  rahā  hai  mire  dil  meñ  chāñdnī  kī  tarah
mujhe  pukāro  to  dīvār  huuñ  suno  to  sadā
maiñ  gūñjtā  huuñ  fazāoñ  meñ  ḳhāmushī  kī  tarah
maiñ  us  ko  nuur  kā  paikar  kahūñ  ki  jān-e-ḳhayāl
jo  mere  dil  pe  utartā  hai  shā.irī  kī  tarah
kisī  kī  yaad  ne  mahkā  diyā  hai  zaḳhm-e-talab
sabā  ke  haath  se  maslī  huī  kalī  kī  tarah
thakā  huā  huuñ  kisī  saa.e  kī  talāsh  meñ  huuñ
bichhaḌ  gayā  huuñ  sitāroñ  se  raushnī  kī  tarah
maiñ  apne  karb  meñ  ġhaltāñ  vo  apne  kaif  meñ  gum
hai  is  kī  jiit  bhī  merī  shikast  hī  kī  tarah
ḳhizāñ  ke  zahr  kā  tiryāk  agar  nahīñ  yaaro
guloñ  kī  baat  hai  be-vaqt  rāgnī  kī  tarah