Akhtar Imam Rizvi

dil wo pyasa hai ki dariya ka tamasha dekhe

Akhtar Imam Rizvi

dil vo pyāsā hai ki dariyā kā tamāshā dekhe
aur phir lahr na dekhe kaf-e-dariyā dekhe
maiñ har ik haal meñ thā gardish-e-daurāñ kā amiiñ
jis ne duniyā nahīñ dekhī mirā chehra dekhe
ab bhī aatī hai tirī yaad pa is karb ke saath
TūTtī niiñd meñ jaise koī sapnā dekhe
rañg kī aañch meñ jaltā huā ḳhushbū kā badan
aañkh us phuul kī tasvīr meñ kyā kyā dekhe
koī choTī nahīñ ab to mire qad se aage
ye zamāna to abhī aur bhī ūñchā dekhe
phir vahī dhund meñ lipTā huā paikar hogā
kaun be-kār meñ uThtā huā parda dekhe
ek ehsās-e-nadāmt se laraz uThtā huuñ
jab ram-e-mauj mirī vus.at-e-sahrā dekhe
Top Urdushayar.com