ashk  jab  dīda-e-tar  se  niklā
ek  kāñTā  sā  jigar  se  niklā
phir  na  maiñ  raat  ga.e  tak  lauTā
Dūbtī  shaam  jo  ghar  se  niklā
ek  mayyat  kī  tarah  lagtā  thā
chāñd  jab  qaid-e-sahar  se  niklā
mujh  ko  manzil  bhī  na  pahchān  sakī
maiñ  ki  jab  gard-e-safar  se  niklā
haa.e  duniyā  ne  use  ashk  kahā
ḳhuun  jo  zaḳhm-e-nazar  se  niklā
ik  amāvas  kā  nasība  huuñ  maiñ
aaj  ye  chāñd  kidhar  se  niklā
jab  uḌā  jānib-e-manzil  'aḳhtar'
ek  sho.ala  mire  par  se  niklā