Akhtar Imam Rizvi

jurm-e-hasti ki saza kyun nahin dete mujhko

Akhtar Imam Rizvi

jurm-e-hastī kī sazā kyuuñ nahīñ dete mujh ko
log jiine kī duā kyuuñ nahīñ dete mujh ko
sarsar-e-ḳhūñ ke tasavvur se larazte kyuuñ ho
ḳhāk-e-sahrā huuñ uḌā kyuuñ nahīñ dete mujh ko
kyuuñ takalluf hai mire naam pe tāzīroñ kā
maiñ burā huuñ to bhalā kyuuñ nahīñ dete mujh ko
ab tumhāre liye ḳhud apnā tamāshā.ī huuñ
dosto dād-e-vafā kyuuñ nahīñ dete mujh ko
maiñ musāfir hī sahī raat kī ḳhāmoshī kā
tum sahar ho to sadā kyuuñ nahīñ dete mujh ko
jins-e-bāzār kī sūrat huuñ jahāñ maiñ 'aḳhtar'
log shīshoñ meñ sajā kyuuñ nahīñ dete mujh ko
Top Urdushayar.com