jurm-e-hastī  kī  sazā  kyuuñ  nahīñ  dete  mujh  ko
log  jiine  kī  duā  kyuuñ  nahīñ  dete  mujh  ko
sarsar-e-ḳhūñ  ke  tasavvur  se  larazte  kyuuñ  ho
ḳhāk-e-sahrā  huuñ  uḌā  kyuuñ  nahīñ  dete  mujh  ko
kyuuñ  takalluf  hai  mire  naam  pe  tāzīroñ  kā
maiñ  burā  huuñ  to  bhalā  kyuuñ  nahīñ  dete  mujh  ko
ab  tumhāre  liye  ḳhud  apnā  tamāshā.ī  huuñ
dosto  dād-e-vafā  kyuuñ  nahīñ  dete  mujh  ko
maiñ  musāfir  hī  sahī  raat  kī  ḳhāmoshī  kā
tum  sahar  ho  to  sadā  kyuuñ  nahīñ  dete  mujh  ko
jins-e-bāzār  kī  sūrat  huuñ  jahāñ  maiñ  'aḳhtar'
log  shīshoñ  meñ  sajā  kyuuñ  nahīñ  dete  mujh  ko