Mahshar Inayati

kisi ki aankhon ka zikr chheDen ajib kuchh pur-waqar aankhen

Mahshar Inayati

1909-1976
kisī kī āñkhoñ kā zikr chheḌeñ ajiib kuchh pur-vaqār āñkheñ
magar ḳhudā vāsta na Daale baḌī hī be-e'tibār āñkheñ
numā.ishī rasm-e-parda-dārī rahegī jab tak to ye bhī hogā
naqāb sarkegī jab zarā bhī uTheñgī be-iḳhtiyār āñkheñ
jahāñ jahāñ rabt-e-chashm-o-dil hai vahāñ vahāñ baat chal rahī hai
nahīñ to bazm-e-ḳhamoshāñ meñ hazār dil haiñ hazār āñkheñ
naqāb uTThī to apnā aalam na tark-e-jalva na tāb-e-jalva
nazar uThī baar baar lekin jhapak ga.iiñ baar baar āñkheñ
nazar milā kar nazar bachā kar nazar badal kar nazar churā kar
namūna ban ban ke kah rahī haiñ haqīqat-e-rozgār āñkheñ
kisī se iz.hār-e-mudda.ā par mirā vo ḳhauf-o-hirās 'mahshar'
kisī kī vo tez tez sāñseñ kisī kī vo be-qarār āñkheñ
Top Urdushayar.com