Abdul Qavi Ziya

teri aankhon ka manzar samne hai

Abdul Qavi Ziya

Lucknow, Uttar pradesh, India

1925

tirī āñkhoñ manzar sāmne hai

maiñ pyāsā huuñ samundar sāmne hai

anā baḌhne nahīñ detī hai aage

mire raste patthar sāmne hai

ḳhayāloñ se hai kosoñ duur lekin

nigāhoñ meñ vo aksar sāmne hai

maiñ ḳhud se roz hotā huuñ baġhal-gīr

mirā apnā paikar sāmne hai

na jalva hai na ā.īna hai koī

ye hairat hai vo kyūñkar sāmne hai

masāfat hai ik ā.īna-nazar

kahīñ jā.ūñ mirā ghar sāmne hai

khilā hai ai 'ziyā' nazroñ meñ ik phuul

koī sūrat badal kar sāmne hai

Top Urdushayar.com