qabr  meñ  ab  kisī  kā  dhyān  nahīñ
sach  hai  jab  jī  nahīñ  jahān  nahīñ
band  bulbul  hī  kī  zabān  nahīñ
varna  gul  to  hilāte  kaan  nahīñ
dil  ne  ḳhud  ulfat-e-kamar  kī  hai
is  meñ  kuchh  merā  darmiyān  nahīñ
abhī  kyā  kyā  na  hogā  harj  nasīb
ham  nahīñ  haiñ  ki  imtihān  nahīñ
dair  kyuuñ  zāhidoñ  ne  chhoḌ  diyā
kyā  butoñ  meñ  ḳhudā  kī  shaan  nahīñ
shams  kaisā  chamak  ke  niklā  hai
aaj  merā  jo  mehrbān  nahīñ
baat  kyā  hai  'saḳhī'  jo  vo  ham  se
aise  chup  haiñ  ki  kuchh  bayān  nahīñ