ulfat  ne  tirī  ham  ko  to  rakkhā  na  kahīñ  kā
dariyā  kā  na  jañgal  kā  samā  kā  na  zamīñ  kā
iqlīm-e-ma.ānī  meñ  amal  ho  gayā  merā
duniyā  meñ  bharosa  thā  kise  tāj-o-nagīñ  kā
taqdīr  ne  kyā  qutub-e-falak  mujh  ko  banāyā
mohtāj  mirā  paañv  rahā  ḳhāna-e-zīñ  kā
ik  boriye  ke  taḳht  pe  auqāt  basar  kī
zāhid  bhī  muqallid  rahā  sajjāda-nashīñ  kā
'aḳhtar'  qalam-e-fikr  ke  bhī  ashk  haiñ  jaarī
kyā  haal  likhūñ  apne  dil-e-zār-o-hazīñ  kā