ai  nasīm-e-saharī  ham  to  havā  hote  haiñ
dam  jo  ghuTtā  hai  mohabbat  meñ  ḳhafā  hote  haiñ
ham  faqīrāna  ġhazal  kahte  haiñ  ai  shāh-e-jahāñ
ḳhair  ho  ḳhair  ho  masrūf-e-duā  hote  haiñ
bahr-e-ālam  meñ  ye  insān  haiñ  mānind-e-habāb
dam  meñ  bante  haiñ  ye  dam-bhar  meñ  fanā  hote  haiñ
ham  ġharīboñ  ko  na  is  bazm  se  uThvā  ai  but
sohbat-e-ām  meñ  ḳhāsān-e-ḳhudā  hote  haiñ
ham  meñ  aur  un  meñ  baḌhā  rābta  'aḳhtar'  itnā
ham  pe  vo  sadqe  haiñ  ham  un  pe  fidā  hote  haiñ