garmiyāñ  shoḳhiyāñ  kis  shaan  se  ham  dekhte  haiñ
kyā  hī  nādāniyāñ  nādān  se  ham  dekhte  haiñ
ġhair  se  bosa-zanī  aur  hameñ  dushnāmeñ
muñh  liye  apnā  pashīmān  se  ham  dekhte  haiñ
fasl-e-gul  ab  kī  junūñ-ḳhez  nahīñ  sad-afsos
duur  haath  apnā  garebān  se  ham  dekhte  haiñ
aaj  kis  shoḳh  kī  gulshan  meñ  hinā-bandī  hai
sarv  raqsāñ  haiñ  gulistān  se  ham  dekhte  haiñ
'aḳhtar'-e-zār  bhī  ho  mus.haf-e-ruḳh  par  shaidā
faal  ye  nek  hai  qur.ān  se  ham  dekhte  haiñ