dikhāte  haiñ  jo  ye  sanam  dekhte  haiñ
ḳhudā  kī  ḳhudā.ī  ko  ham  dekhte  haiñ
ye  haivān  hai  dast-e-tāle.a  pe  bhārī
na.e  jānvar  kā  qadam  dekhte  haiñ
zan-o-ḳhvesh-o-farzand-o-daulat  se  chhūTe
na  dekhe  koī  jo  ki  ham  dekhte  haiñ
shahanshāh  ham  haiñ  diloñ  par  haiñ  hākim
gadā  tum  ko  ai  zī-hasham  dekhte  haiñ
faqat  haath  kaale  nahīñ  balki  mun.im
diloñ  par  bhī  dāġh-e-varam  dekhte  haiñ
kahāñ  tak  utartī  hai  siine  pe  mere
tirī  teġh-e-abrū  kā  dam  dekhte  haiñ
bhagātī  hai  mār-e-siyah  go  ki  ham  ko
tirī  zulf-e-mushkīñ  kā  sam  dekhte  haiñ
zamīñ  par  bhī  detā  nahīñ  chain  ham  ko
falak  tujh  se  jaur-o-sitam  dekhte  haiñ
dur-e-ashk  se  merā  bhartī  hai  dāman
saḳhī  tujh  ko  ai  chashm-e-nam  dekhte  haiñ
na  rañj  aur  na  shādī  tavassut  hai  ham  ko
ki  aish-o-alam  bhī  baham  dekhte  haiñ
kisī  maah  ne  us  ko  dhokā  diyā  hai
ham  'aḳhtar'  ko  kyuuñ  pur-alam  dekhte  haiñ