dstār-e-faqīrāna  ik  taaj  se  afzūñ  hai
rāh-e-tarah-e-ḳhum-ḳhāna  me.arāj  se  afzūñ  hai
aise  hī  hukūmat  hai  aise  hī  ibādat  hai
ye  shāh-e-faqīrāna  mohtāj  se  afzūñ  hai
chalte  ho  paristāñ  meñ  pariyāñ  haiñ  bahut  shā.eq
ab  husn-e-parī-ḳhāna  phir  aaj  se  afzūñ  hai
kyā  ġham  hai  chhalak  jaa.e  sāġhar  mirā  ai  saaqī
vo  tāknā  paimāna  āmāj  se  afzūñ  hai
phir  ho.e  fuzūñ  daulat  'aḳhtar'  ye  duā  de  tū
ye  faqra-e-pīrāna  ik  raaj  se  afzūñ  hai