labālab  kar  de  ai  saaqī  hai  ḳhālī  merā  paimāna
salāmat  daur-e-gardūñ  tak  ye  shīsha  aur  ye  mai-ḳhāna
na  pūchho  naam  mujh  vahshat-zada  kā  dasht-e-furqat  meñ
siḌī  saudā.ī  majnūñ  mast  be-ḳhud  zar-o-dīvāna
mujhe  mushrik  na  samjho  maiñ  muvahhid  huuñ  zamāne  meñ
tasāvīr-e-ḳhayālī  se  bharā  hai  merā  but-ḳhāna
huā  matl.a  jo  mushrik  meñ  to  maġhrib  meñ  huā  maqtā
liye  phirte  haiñ  ham  dosh-e-sabā  par  bait  kā  ḳhāna
urūs-e-fikr  merī  aur  dūlhe  se  na  zam  hogī
faqīrī  kī  milegī  bū  jo  joḌā  hogā  shāhāna
bhalā  lahj-o-lahja  īstāda  kyā  bayāñ  hogā
qayāmat  tak  to  suniye  baiTh  kar  ulfat  kā  afsāna
za.īfī  meñ  bhī  lipTī  hai  balā-e-shā.erī  mujh  se
na  chūTegī  kabhī  'aḳhtar'  qalam  se  mashq-e-tiflāna