shab-e-firāq  meñ  ye  dil  se  guftugū  kyā  hai
marī  umiid  haiñ  vo  un  kī  aarzū  kyā  hai
rageñ  tamām  badan  kī  idhar  ko  khīñchtī  haiñ
kisī  kā  haath  qarīb-e-rag-e-gulū  kyā  hai
shikasta-e-ābla-e-pā  ne  aabrū  rakh  lī
khulā  na  haal  ki  paanī  hai  kyā  lahū  kyā  hai
maiñ  apnī  maut  pe  raazī  vo  laash  uThāne  par
ab  aage  dekhnā  hai  marzī-e-adū  kyā  hai
ye  kis  ko  aa.ine  meñ  aap  dekhe  jaate  haiñ
jahāñ  meñ  aap  se  bhī  koī  ḳhūb-rū  kyā  hai
sabab  bhī  pūchh  lo  un  kī  zidoñ  se  ai  'jāved'
rulā  rulā  ke  hañsā.eñ  ye  un  kī  ḳhū  kyā  hai