jhūTī  tasalliyoñ  pe  shab-e-ġham  basar  huī
uThī  chamak  jo  zaḳhm  meñ  samjhā  sahar  huī
har  har  nafas  chhurī  hai  liye  qat-e-shām-e-hijr
yā  aaj  dam  nikal  hī  gayā  yā  sahar  huī
badlīñ  jo  karvaTeñ  to  zamāna  badal  gayā
duniyā  thī  be-sabāt  idhar  kī  udhar  huī
jaatī  hai  raushnī  mirī  āñkhoñ  ko  chhoḌ  ke
taare  chhupe  vo  so  ke  uThe  vo  sahar  huī
pahle  ye  jāntā  thā  ki  zaḳhmī  nahīñ  hai  dil
jab  de  diyā  ragoñ  ne  lahū  jab  ḳhabar  huī
kis  muñh  se  ro.uuñ  maiñ  dil-e-hasrat-nasīb  ko
jab  mar  gayā  ġharīb  to  mujh  ko  ḳhabar  huī
'jāved'  bū-e-gul  ko  havā  aa  ke  le  ga.ī
kaliyoñ  ko  ġham  huā  na  guloñ  ko  ḳhabar  huī