gardish  meñ  aa.ina  ho  na  kyuuñ  rozgār  kā
chullū  meñ  ḳhuuñ  liye  huuñ  dil-e-be-qarār  kā
bhaḌkī  huī  thī  surḳh  guloñ  se  chaman  meñ  aag
dāman  na  jal  gayā  ho  nasīm-e-bahār  kā
aa.e  haiñ  le  ke  ġhair  ko  vo  pūchhne  mizāj
tum  ne  gila  kiyā  thā  dil-e-be-qarār  kā
mahshar  kī  bhī  ummīd  pe  be  car  jaan  dī
kyā  e'tibār  va.ada-e-be-e'tibār  kā
itnī  to  aarzū  hai  kabhī  yaad  kar  leñ  dost
shāyad  kabhī  phir  aa.e  zamāna  bahār  kā
sāġhar  ubal  rahe  haiñ  to  shīshoñ  meñ  josh  hai
niklā  hai  khich  ke  dam  jo  kisī  bāda-ḳhvār  kā
tum  aa.e  kyā  ki  rañg-e-zamāna  badal  gayā
gul  ho  gayā  charāġh  hamāre  mazār  kā
tasvīr  kī  ragoñ  meñ  lahū  dauḌne  lagā
kyā  aa  gayā  jahān  meñ  mausam  bahār  kā