kabhī  añdhere  se  ghabrā.e  raushnī  se  kabhī
kabhī  bujhā.e  charāġh  aur  kabhī  jalā.e  charāġh
vo  bujhte  dil  ko  na  dekheñ  kisī  ke  ḳhuub  hai  ye
vo  muñh  ko  pher  leñ  jis  vaqt  jhilmilā.e  charāġh
lahad  pe  chal  ke  havā  gar  bujhātī  hai  to  bujhā.e
tumhārā  ho  chukā  ehsāñ  ki  ḳhud  jalā.e  charāġh
lahad  pe  bū-e-vafā  aa  rahī  thī  vaqt-e-sahar
kahīñ  kahīñ  jo  paḌe  haiñ  jale-jalā.e  charāġh
ik  āh-e-garm  se  turbat  meñ  kaam  lene  do
yūñhī  jalā.e  isī  tarah  se  bujhā.e  charāġh
jo  thā  to  bas  vahī  dil-soz  bhī  thā  ai  'jāved'
kisī  ne  dil  na  jalāyā  yahāñ  sivā.e  charāġh