zindagī  kā  mazā  nahīñ  miltā
but  mile  to  ḳhudā  nahīñ  miltā
manzil-e-āḳhirī  hai  qabr  mirī
ab  koī  rāsta  nahīñ  miltā
ḳhūgar-e-zulm  ho  gayā  aisā
mujh  ko  lutf-e-vafā  nahīñ  miltā
nigah-e-yās  se  kise  dekhūñ
dil-e-dard-āshnā  nahīñ  miltā
baat  itnī  na  umr  bhar  samjhe
kyā  milā  aur  kyā  nahīñ  miltā
jis  ko  'jāved'  us  ne  khoyā  hai
usī  dil  kā  patā  nahīñ  miltā