kahā  jo  us  ne  ki  kahiye  to  kuchh  gilā  kyā  hai
mirī  zabān  se  niklā  ki  fā.eda  kyā  hai
udaas  dekh  ke  mahfil  ko  merī  kahte  haiñ
yahāñ  bhī  koī  musībat  kā  mubtalā  kyā  hai
bas  aaj  tak  to  bahut  ḳhuub  hijr  meñ  guzrī
ab  aage  dekhiye  taqdīr  meñ  likhā  kyā  hai
tamām  ho  ga.e  ham  dāstān  ho  ga.ī  ḳhatm
ab  aur  qissa-e-furqat  kī  intihā  kyā  hai
gale  se  aa  ke  mile  vo  to  aur  dil  taḌpā
baḌhe  davā  se  to  phir  dard  kī  davā  kyā  hai
har  ek  ashk  ke  qatre  meñ  ḳhuuñ  kī  shirkat  ne
hamārā  zaḳhm-e-jigar  be-mahal  hañsā  kyā  hai
jo  dekhtā  huuñ  kabhī  aa.ina  maiñ  furqat  meñ
to  ḳhud  bhī  kahtā  huuñ  ye  aap  ko  huā  kyā  hai
sitam  pe  daad  ke  ḳhvāhāñ  tumhīñ  se  haiñ  'jāved'
vo  jāneñ  kyā  ki  jafā  kyā  hai  aur  vafā  kyā  hai