mujh  ko  jiine  se  fā.eda  bhī  nahīñ
aur  phir  marzi-e-ḳhudā  bhī  nahīñ
nahīñ  ma.alūm  kyā  maiñ  kahtā  huuñ
tum  nahīñ  ho  to  kyā  ḳhudā  bhī  nahīñ
maut  ab  zindagī  bhī  hai  mujh  ko
jab  mire  dard  kī  davā  bhī  nahīñ
sar-e-bālīñ  vo  muskurāte  haiñ
merī  taqdīr  meñ  shifā  bhī  nahīñ
jhilmilātā  hai  subah  kā  taarā
ab  to  jiine  kā  aasrā  bhī  nahīñ
dar-e-dildār  pā.ūñ  kiyā  'jāved'
kahīñ  do-chār  naqsh-e-pā  bhī  nahīñ