pyāsī  thī  ye  ḳhud  mire  lahū  kī
thī  tez  chhurī  rag-e-gulū  kī
dil  kho  ke  na  maiñ  ne  justujū  kī
samjhā  thā  ki  buuñd  thī  lahū  kī
tum  paas  jo  aa.e  kho  ga.e  ham
jab  tum  na  mile  to  justujū  kī
sab  zaḳhm  ke  Tāñke  saath  TuuTe
hājat  na  rahī  koī  rafū  kī
ḳhud  kho  ga.e  ham  jahāñ  meñ  āḳhir
is  had  pe  kisī  kī  justujū  kī
dekhā  ki  zamīñ  se  aag  niklī
jab  buuñd  Tapak  paḌī  lahū  kī
roī  vahāñ  sham.a  yaañ  hañse  phuul
vo  qabr  mirī  thī  ye  adū  kī
vo  sāmne  aa.e  ġhash  hue  ye
muusā  kī  nazar  kahāñ  pe  chūkī
tīroñ  pe  kisī  ke  baañT  bhī  duuñ
khaa.ī  thī  qasam  isī  lahū  kī
is  daaġh  ko  maiñ  ne  dil  meñ  rakkhā
dushman  ne  na  jis  kī  aarzū  kī
'jāved'  vo  laash  kyuuñ  uThā.eñ
marzī  bhī  to  pūchh  leñ  adū  kī