aag  jab  zaḳhm-e-jigar  be-intihā  dene  lage
chāra-gar  ghabrā  ke  uf  uf  kī  sadā  dene  lage
ab  kahāñ  thā  maiñ  jo  detā  is  mohabbat  kā  javāb
jis  kī  turbat  dekh  lī  mujh  ko  sadā  dene  lage
dāman-e-sabr-o-tahammul  haath  se  ḳhud  chhuT  gayā
TuuT  kar  zaḳhmoñ  ke  Tāñke  jab  sadā  dene  lage
hijr  kī  rātoñ  ke  sannāTe  meñ  uf  rī  be-ḳhudī
ham  dil-e-gum-gashta  ko  apnī  sadā  dene  lage
haath  bhī  ghabrā  ke  maiñ  ne  qalb-e-nāzuk  par  rakhe
jab  zarā  sī  choT  meñ  shīshe  sadā  dene  lage
jāñkanī  kā  vaqt  bhī  baaqī  rahe  tum  bhī  raho
dekhne  aa.e  to  kyā  achchhī  daġhā  dene  lage
mai-kade  meñ  ham  se  mastoñ  kī  ḳhushī  kyā  rañj  kyā
mil  ga.e  do-chār  sāġhar  aur  duā  dene  lage
munhasir  marne  pe  ho  jab  sūrat-e-taskīn-e-dil
kosnā  maiñ  is  ko  samjhūñ  jo  duā  dene  lage
zālim-o-mazlūm  kā  mahfil  meñ  kal  niklā  thā  zikr
vo  hamārā  aur  ham  un  kā  patā  dene  lage
marne  vaale  phir  na  ai  'jāved'  kholeñ  apnī  aañkh
gar  qasam  baḌhtī  huī  un  kī  hayā  dene  lage