Hammad Niyazi

dil ke sune sahn mein gunji aahaT kis ke panw ki

Hammad Niyazi

Punjab, Pakistan

1984

dil ke suune sahn meñ gūñjī aahaT kis ke paañv

dhūp-bhare sannāTe meñ āvāz sunī hai chhāñv

ik manzar meñ saare manzar pas-manzar ho jaane haiñ

ik dariyā meñ mil jaanī haiñ lahreñ sab dariyāoñ

dasht-navardī aur hijrat se apnā gahrā rishta hai

apnī miTTī meñ shāmil hai miTTī kuchh sahrāoñ

bārish būñdoñ se ban meñ tan meñ ek bahār aa.ī

ghar ghar gaa.e giit gagan ne gaūñjīñ galiyāñ gaañv

sub.h savere nañge paañv ghaas pe chalnā aisā hai

jaise baap pahlā bosa qurbat jaise maaoñ

ik jaisā ehsās lahū meñ jiitā jāgtā rahtā hai

ek udāsī de jaatī hai dastak roz havāoñ

sīnoñ aur zamīnoñ ab manzar-nāma badlegā

har kasrat ho jaanī hai phūloñ aur duāoñ

Top Urdushayar.com