Hammad Niyazi

jis ki saundhi saundhi KHushbu aangan aangan palti thi

Hammad Niyazi

Punjab, Pakistan

1984

jis sauñdhī sauñdhī ḳhushbū āñgan āñgan paltī thī

us miTTī bojh uThāte jism miTTī galtī thī

jis ko taap ke garm lihāfoñ meñ bachche so jaate the

dil ke chūlhe meñ har dam vo aag barābar jaltī thī

garm do-pahroñ meñ jalte sehnoñ meñ jhāḌū dete the

jin būḌhe hāthoñ se pak kar roTī phuul meñ Dhaltī thī

kisī kahānī meñ vīrānī meñ jab dil ghabrātā thā

kisī aziiz duā ḳhushbū saath hamāre chaltī thī

gard uḌāte zard bagūle dar par dastak dete the

aur ḳhasta-dīvāroñ pal bhar meñ shakl badaltī thī

ḳhushk khajūr ke pattoñ se jab niind bistar sajtā thā

ḳhvāb-nagar shahzādī galiyoñ meñ aan nikaltī thī

din aatā thā aur siine meñ shaam ḳhāka bantā thā

shaam aatī thī aur jismoñ meñ shaam bhī āḳhir Dhaltī thī

Top Urdushayar.com