Aamir Suhail

gale se der talak lag ke roen abr-o-sahab

Aamir Suhail

1977

gale se der talak lag ke ro.eñ abr-o-sahāb

haTā diye haiñ zamān-o-makāñ ke ham ne hijāb

lahad miTTī taqdīr amaan maiñ duuñ

safed laTThe meñ kafnā ke surḳh shāḳh-e-gulāb

maiñ āsmān tire jism pe bichhā detā

magar ye niil meñ chādar banī nahīñ kamḳhāb

tirā vo rātoñ ko uTh kar sisak sisak ronā

lahū meñ niiñd Tīseñ palak pe ijz ke ḳhvāb

tire jalā.e diyoñ meñ bhaḌaktī aag pher

zamīñ rehl pe rakkhe na raushnī kitāb

havā bahisht ke bāġhoñ zulf zulf phire

tirī lahad tire bālīñ ke gard jū-e-sharāb

kamān khīñch zamāne sū-e-sīna-zanāñ

ai farq-e-nāz gale se utaar tauq-e-ġhayāb

maiñ ek yaḳh-zada māthe ko chuum kar dam-e-sub.h

tirī zamīnoñ se guzrūñgā ai jahān-e-ḳharāb

mashaqqatī haiñ tire kāḳh-o-kū-e-hijr ke ham

ai kār-ḳhāna-e-aflāk-o-ḳhāk-o-āb-o-sarāb

ye tañg-o-tār-gaḌhā nuur se bhare 'āmir'

sadā rahe tere hujre meñ hāla-e-māhtāb

Top Urdushayar.com