Aamir Suhail

kahaniyon ne zara khinch kar badan apne

Aamir Suhail

1977

kahāniyoñ ne zarā khīñch kar badan apne

haram-sarā se bulāyā hameñ vatan apne

khule gale qamīseñ khule gale ke firāq

ye laḌkiyāñ haiñ badaltī haiñ pairahan apne

ġhadar ke phuul sajātī haiñ aise bāloñ meñ

sambhāl saktī hoñ jaise bhare badan apne

ajab bhaḌak hai sharāboñ aur āñkhoñ

balā hai husn bidakne lage haiñ ban apne

parā.e dard Thikrī se ghar kareñ raushan

ki siflagī riyāzat meñ haiñ magan apne

ye inkisār ke putle ye sīm-o-zar sanā

ye masḳhare haiñ ki chole meñ gorkan apne

hameñ nikālo gharoñ kamīn gāhoñ se

lahū ke ram se dahakne lage ḳhutan apne

ham ehtiyāj ke hujroñ se rizq chunte hue

zamīñ ke ḳhvān pe rakhne lage lagan apne

ye ārzūoñ ke chaqmāq se jale siine

jo ātishīñ haiñ magar nochte haiñ tan apne

yahāñ zamīn pe balve yahāñ zamīñ pe fasād

nikāl rakhte haiñ sandūq se kafan apne

vo baas duur ke ḳhatoñ auratoñ meñ uḌī

jise jahāzoñ meñ laa.e the ham-suḳhan apne

Top Urdushayar.com