zindagī  kyā  hai  ek  manzar  hai
ret  hai  tishnagī  hai  kīkar  hai
aap  behad  hasīn  haiñ  lekin
dil  to  yāqūt  kā  bhī  patthar  hai
ek  tasvīr  merī  āñkhoñ  kī
ek  tasvīr  meñ  samundar  hai
sāya-e-atifat  meñ  rahtā  huuñ
ġham  tirā  rāhatoñ  se  baḌh  kar  hai
aap  kyuuñ  der  se  khaḌe  haiñ  yahāñ
aa.iye  paas  hī  mirā  ghar  hai
kūcha-e-zāt  meñ  bhaTaktā  huuñ
aap  kā  rāsta  to  az-bar  hai
sansanī  āhaToñ  se  pahle  thī
ḳhauf  ḳhāmoshiyoñ  kā  maz.har  hai
ek  tasvīr  meñ  jiye  ham  log
zindagī  bhī  ajiib  manzar  hai
maiñ  sitārā-mizāj  huuñ  'rāhil'
jāgnā  hī  mirā  muqaddar  hai