Rahil Bukhari

suna hai chup ki bhi koi pukar hoti hai

Rahil Bukhari

sunā hai chup kī bhī koī pukār hotī hai
ye bad-gumānī mujhe baar baar hotī hai
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā sarāb kī duniyā
nazar faqīr kī parde ke paar hotī hai
azāb-e-dīda koī rañg sīñchte kaise
ḳhizāñ-gazīdgī āshufta-bār hotī hai
maiñ apne hisse ke manzar ujālne se rahā
ye āgahī to bahut dil-figār hotī hai
umiid hī se zamāne meñ shād-kāmī hai
yahī vo shāḳh hai jo sāya-dār hotī hai
ye raat mātamī malbūs hī meñ jachtī thī
ye raat hī to hameñ pursa-dār hotī hai
maiñ jī rahā huuñ to jiine kā hausla dekho
ye zaḳhm-koshī taġhāful-shi.ār hotī hai
Top Urdushayar.com