Ghayas Mateen

hawa bahut tez chal rahi hai charagh-e-jaan phir bhi jal raha hai

Ghayas Mateen

havā bahut tez chal rahī hai charāġh-e-jāñ phir bhī jal rahā hai

ye kaun hai jo hamāre pīchhe havā ke hamrāh chal rahā hai

gumāñ bastī meñ rahne vaalo zarā pahāḌī pe chaḌh ke dekho

udhar nadī hai vahīñ se shahr-e-yaqīñ rasta nikal rahā hai

sarāb-andar-sarāb tum ho charāġh-andar-charāġh ham haiñ

hamīñ se tārīkiyāñ haiñ ḳhā.if hamīñ se ḳhurshed jal rahā hai

hamāre bachche yahāñ raheñge to āñdhiyoñ meñ ghire raheñge

unheñ yahāñ se nikalnā hogā yahāñ manzar badal rahā hai

purānī qabroñ pe aaj kitne na.e makānoñ zindagī hai

jo aaj hai bas usī ko dekho vo bhuul jaao jo kal rahā hai

kisī ne shāne pe haath rakh kar jo naam pūchhā 'matīn' apnā

charāġh āñkhoñ meñ jal-bujhe haiñ vajūd saarā pighal rahā hai

Top Urdushayar.com