apnī  socheñ  shikast-o-ḳhām  na  kar
chal  paḌā  hai  to  phir  qayām  na  kar
maiñ  bhī  hassās  dil  kā  mālik  huuñ
saare  ehsās  apne  naam  na  kar
jism  chāhe  ġhulām  ho  jaa.e
zehniyat  ko  magar  ġhulām  na  kar
maiñ  ḳhud  apnī  nazar  se  gir  jā.ūñ
tū  mirā  itnā  ehtirām  na  kar
tere  pīchhe  ġhubār  uḌne  lage
ḳhud  ko  tū  itnā  tez-gām  na  kar
log  mashkūk  ho  chale  'āzar'
ab  har  ik  shaḳhs  ko  salām  na  kar