fāsla  jab  mujhe  ehsās-e-thakan  baḳhshegā
paañv  ko  phuul  bhī  kāñToñ  kī  chubhan  baḳhshegā
kitne  sūraj  isī  jazbe  se  ugaa.e  maiñ  ne
koī  sūraj  to  mere  ghar  ko  kiran  baḳhshegā
chāhtā  huuñ  ki  kabhī  mujh  ko  bhī  bistar  ho  nasīb
jaane  kis  roz  ḳhudā  mujh  ko  badan  baḳhshegā
log  kahte  haiñ  ki  sahrā  ko  gulistāñ  kah  do
us  ke  badle  meñ  vo  chāñdī  ke  saman  baḳhshegā
be-libāsī  kā  kareñ  bhī  to  gilā  kis  se  kareñ
zinda  lāshoñ  ko  yahāñ  kaun  kafan  baḳhshegā
sirf  do-chār  daraḳhtoñ  pe  qanā.at  kaisī
vo  sakhī  hai  to  mujhe  saarā  chaman  baḳhshegā
chhīn  kar  mujh  se  vo  lamhoñ  kī  latāfat  'āzar'
zehn-e-āsūda  ko  sadiyoñ  kī  thakan  baḳhshegā