is  se  aage  to  bas  lā-makāñ  rah  gayā
ye  safar  bhī  mirā  rā.egāñ  rah  gayā
ho  ga.e  apne  jismoñ  se  bhī  be-niyāz
aur  phir  bhī  koī  darmiyāñ  rah  gayā
raakh  poroñ  se  jhaḌtī  ga.ī  umr  kī
saañs  kī  nāliyoñ  meñ  dhuāñ  rah  gayā
ab  to  rasta  batāne  pe  māmūr  huuñ
be-hadaf  tiir  thā  be-kamāñ  rah  gayā
jab  palaT  hī  chale  ho  ai  dīda-varo
mujh  ko  bhī  dekhnā  maiñ  kahāñ  rah  gayā
miT  gayā  huuñ  kisī  aur  kī  qabr  meñ
merā  katba  kahīñ  be-nishāñ  rah  gayā