saḳht  mushkil  meñ  kiyā  hijr  ne  āsān  mujhe
dūsrā  ishq  huā  pahle  ke  daurān  mujhe
tere  andar  kī  udāsī  ke  mushābah  huuñ  maiñ
ḳhāl-o-ḳhad  se  nahīñ  āvāz  se  pahchān  mujhe
ajnabī  shahr  meñ  ik  luqme  ko  tarsā  huā  maiñ
mezbāñ  jismoñ  ne  samjhā  nahīñ  mehmān  mujhe
ek  hī  shakl  ke  sab  chehre  the  lekin  phir  bhī
ek  chehre  ne  to  behad  kiyā  hairān  mujhe
maiñ  mohabbat  bhī  mohabbat  ke  evaz  detā  huuñ
phir  bhī  ho  jaatā  hai  is  kaam  meñ  nuqsān  mujhe
bhūle-bisre  kisī  naġhme  kī  sī  shādāb  āvāz
raat  kānoñ  meñ  paḌī  kar  ga.ī  sunsān  mujhe
jaane  kab  sauñp  duuñ  miTTī  ko  ye  miTTī  kā  qafas
jaane  kab  denā  paḌe  ruuh  kā  tāvān  mujhe