ḳhaak  chhānī  na  kisī  dasht  meñ  vahshat  kī  hai
maiñ  ne  ik  shaḳhs  se  ujrat  pe  mohabbat  kī  hai
ḳhud  ko  dhutkār  diyā  maiñ  ne  to  is  duniyā  ne
merī  auqāt  se  baḌh  kar  mirī  izzat  kī  hai
jī  meñ  aatā  hai  mirī  mujh  se  mulāqāt  na  ho
baat  milne  kī  nahīñ  baat  tabī.at  kī  hai
ab  bhī  thoḌī  sī  mire  dil  meñ  paḌī  hai  shāyad
zard  sī  dhuup  jo  dīvār  se  ruḳhsat  kī  hai
aaj  jī  bhar  ke  tujhe  dekhā  to  mahsūs  huā
aañkh  ne  sūra-e-yūsuf  kī  tilāvat  kī  hai
haal  pūchhā  hai  mirā  poñchhe  haiñ  aañsū  mere
shukriya  tum  ne  mire  dard  meñ  shirkat  kī  hai