maiñ  ḳhud  ko  mismār  kar  ke  malba  banā  rahā  huuñ
yahī  banā  saktā  huuñ  lihāzā  banā  rahā  huuñ
kisī  ke  siine  meñ  bhar  rahā  huuñ  maiñ  apnī  sāñseñ
kisī  ke  katbe  ko  apnā  katba  banā  rahā  huuñ
bahut  bhalī  lagtī  hai  use  bhī  mirī  udāsī
ḳhushī  ḳhushī  ḳhud  ko  dil-girafta  banā  rahā  huuñ
hujūm  ko  mere  qahqahoñ  kī  ḳhabar  nahīñ  hai
banā  huā  huuñ  ki  maiñ  tamāshā  banā  rahā  huuñ
har  ek  chehre  pe  ḳhāl-o-ḳhad  kī  numā.isheñ  haiñ
maiñ  ḳhāl-o-ḳhad  ke  baġhair  chehra  banā  rahā  huuñ
khulī  huī  hai  jo  koī  āsān  raah  mujh  par
maiñ  us  se  haT  ke  ik  aur  rasta  banā  rahā  huuñ
falak  se  uupar  bhī  ek  chhat  hai  zamīn  aisī
falak  ke  us  paar  ek  ziina  banā  rahā  huuñ
mirī  tavajjoh  bas  ek  nuqte  pe  murtakiz  hai
maiñ  apnī  quvvat  ko  ek  zarra  banā  rahā  huuñ