sahar  ko  khoj  charāġhoñ  pe  inhisār  na  kar
havā  se  dostī  rakh  us  kā  e'tibār  na  kar
yaqīn  kar  o  mohabbat  yahī  munāsib  hai
ziyāda  din  mirī  sohbat  ko  iḳhtiyār  na  kar
ye  koī  rishta  nahīñ  hai  faqat  nadāmat  hai
tū  mujh  se  umr  meñ  kam  hai  so  mujh  se  pyaar  na  kar
mujhe  pata  hai  ki  barbād  ho  chukā  huuñ  maiñ
tū  merā  sog  manā  mujh  ko  sogvār  na  kar
hai  kaun  kaun  mire  saath  is  musībat  meñ
maiñ  apne  saath  nahīñ  huuñ  mujhe  shumār  na  kar
maiñ  ḳhaak  ḳhud  tujhe  labbaik  kahne  vāloñ  meñ
mujhe  bulāvā  na  de  merā  intizār  na  kar