jast  bhartā  huā  fardā  ke  dahāne  kī  taraf
jā  nikaltā  huuñ  kisī  aur  zamāne  kī  taraf
aañkh  bedār  huī  kaisī  ye  peshānī  par
kaisā  darvāza  khulā  ā.īna-ḳhāne  kī  taraf
ḳhud  hī  anjām  nikal  aa.egā  is  vāqiye  se
ek  kirdār  ravāna  hai  fasāne  kī  taraf
hal  nikaltā  hai  yahī  rishtoñ  kī  mismārī  kā
log  aa  jaate  haiñ  dīvār  uThāne  kī  taraf
darmiyāñ  tez  havā  bhī  hai  zamāna  bhī  hai
tiir  to  chhoḌ  diyā  maiñ  ne  nishāne  kī  taraf
ek  bichhḌī  huī  āvāz  bulātī  hai  mujhe
vaqt  ke  paar  se  gum-gashta  Thikāne  kī  taraf