havā  kā  taḳht  bichhātā  huuñ  raqs  kartā  huuñ
badan  charāġh  banātā  huuñ  raqs  kartā  huuñ
maiñ  baiTh  jaatā  huuñ  takiya  lagā  ke  bātin  meñ
ḳhud  apnī  bazm  sajātā  huuñ  raqs  kartā  huuñ
zamīn  hāñpne  lagtī  hai  ik  jagah  ruk  kar
maiñ  us  kā  haath  baTātā  huuñ  raqs  kartā  huuñ
mirā  surūr  mujhe  khīñchtā  hai  apnī  taraf
maiñ  apne-āp  meñ  aatā  huuñ  raqs  kartā  huuñ
maiñ  jāntā  huuñ  mujhe  kaise  shānt  honā  hai
kaho  to  ho  ke  dikhātā  huuñ  raqs  kartā  huuñ
mirī  misāl  dhuāñ  hai  bujhe  charāġhoñ  kā
jab  apnā  sog  manātā  huuñ  raqs  kartā  huuñ
ajiib  lahr  sī  'anjum'  mire  ḳhamīr  meñ  hai
jise  vajūd  meñ  laatā  huuñ  raqs  kartā  huuñ