charāġh  haath  meñ  ho  to  havā  musībat  hai
so  mujh  marīz-e-anā  ko  shifā  musībat  hai
sahūlateñ  to  mujhe  raas  hī  nahīñ  ātīñ
qubūliyat  kī  ghaḌī  meñ  duā  musībat  hai
uThā.e  phirtā  rahā  maiñ  bahut  mohabbat  ko
phir  ek  din  yūñhī  sochā  ye  kyā  musībat  hai
maiñ  aaj  Duub  chalā  ret  ke  samundar  meñ
chahār-samt  ye  raqs-e-havā  musībat  hai
ḳhud-āgahī  kā  jo  mujh  par  nuzūl  jaarī  huā
maiñ  kyā  kahūñ  ki  ye  rahmat  hai  yā  musībat  hai
bahut  jachā  hai  ye  be-dāġh  pairahan  mujh  par
go  ḳhāk-zād  ko  aisī  qabā  musībat  hai
maiñ  kam  hī  rahtā  huuñ  'anjum'  ḳhudā  kī  sohbat  meñ
gunāhgār  ko  ḳhauf-e-ḳhudā  musībat  hai