Anjum Saleemi

ek duje ko der se samjha der se yari ki

Anjum Saleemi

1963
ik duuje ko der se samjhā der se yaarī kī
ham donoñ ne ek mohabbat baarī baarī kī
ḳhud par hañsne vāloñ meñ ham ḳhud bhī shāmil the
ham ne bhī jī bhar kar apnī dil-āzārī kī
ik aañsū ne dho Daalī hai dil kī saarī mail
ek diye ne kaaT ke rakh dī gahrī tārīkī
dil ne ḳhud isrār kyā ik mumkina hijrat par
ham ne is majbūrī meñ bhī ḳhud-muḳhtārī kī
chauda baras ke hijr ko im-shab ruḳhsat karnā hai
saarā din so so kar jāgne kī tayyārī kī
ham bhī isī duniyā ke baasī the so ham ne bhī
duniyā vāloñ se thoḌī sī duniyā-dārī kī
'anjum' ham ushshāq meñ ūñchā darja rakhte haiñ
be-shak ishq ne aisī koī sanad na jaarī kī
Top Urdushayar.com