ik  duuje  ko  der  se  samjhā  der  se  yaarī  kī
ham  donoñ  ne  ek  mohabbat  baarī  baarī  kī
ḳhud  par  hañsne  vāloñ  meñ  ham  ḳhud  bhī  shāmil  the
ham  ne  bhī  jī  bhar  kar  apnī  dil-āzārī  kī
ik  aañsū  ne  dho  Daalī  hai  dil  kī  saarī  mail
ek  diye  ne  kaaT  ke  rakh  dī  gahrī  tārīkī
dil  ne  ḳhud  isrār  kyā  ik  mumkina  hijrat  par
ham  ne  is  majbūrī  meñ  bhī  ḳhud-muḳhtārī  kī
chauda  baras  ke  hijr  ko  im-shab  ruḳhsat  karnā  hai
saarā  din  so  so  kar  jāgne  kī  tayyārī  kī
ham  bhī  isī  duniyā  ke  baasī  the  so  ham  ne  bhī
duniyā  vāloñ  se  thoḌī  sī  duniyā-dārī  kī
'anjum'  ham  ushshāq  meñ  ūñchā  darja  rakhte  haiñ
be-shak  ishq  ne  aisī  koī  sanad  na  jaarī  kī