kal  to  tire  ḳhvāboñ  ne  mujh  par  yuuñ  arzānī  kī
saarī  hasrat  nikal  ga.ī  mirī  tan-āsānī  kī
paḌā  huā  huuñ  shaam  se  maiñ  usī  bāġh-e-tāza  meñ
mujh  meñ  shāḳh  nikal  aa.ī  hai  raat  kī  raanī  kī
is  chaupāl  ke  paas  ik  būḌhā  bargad  hotā  thā
ek  alāmat  gum  hai  yahāñ  se  mirī  kahānī  kī
tum  ne  kuchh  paḌh  kar  phūñkā  miTTī  ke  pyāle  meñ
yā  miTTī  meñ  guñdhī  huī  tāsīr  hai  paanī  kī
kyā  batlā.ūñ  tum  ko  tum  tak  arz  guzārne  meñ
dil  ne  apne  aap  se  kitnī  khīñchā-tānī  kī