Asim Wasti

hai mustaqil yahi ehsas kuchh kami si hai

Asim Wasti

1958
hai mustaqil yahī ehsās kuchh kamī sī hai
talāsh meñ hai nazar dil meñ bekalī sī hai
kisī bhī kaam meñ lagtā nahīñ hai dil merā
baḌe dinoñ se tabī.at bujhī bujhī sī hai
baḌī ajiib udāsī hai muskurātā huuñ
jo aaj kal mirī hālat hai shā.irī sī hai
guzar rahe haiñ shab o roz be-sabab mere
ye zindagī to nahīñ sirf zindagī sī hai
thakī to ek mohabbat ne muuñd lī āñkheñ
har ek niind se ab merī dushmanī sī hai
tire baġhair kahāñ hai sukūn kyā ārām
kahīñ rahūñ mirī taklīf begharī sī hai
nahīñ vo sham-e-mohabbat rahī to phir 'āsim'
ye kis duā se mire ghar meñ raushnī sī hai
Top Urdushayar.com