hai  mustaqil  yahī  ehsās  kuchh  kamī  sī  hai
talāsh  meñ  hai  nazar  dil  meñ  bekalī  sī  hai
kisī  bhī  kaam  meñ  lagtā  nahīñ  hai  dil  merā
baḌe  dinoñ  se  tabī.at  bujhī  bujhī  sī  hai
baḌī  ajiib  udāsī  hai  muskurātā  huuñ
jo  aaj  kal  mirī  hālat  hai  shā.irī  sī  hai
guzar  rahe  haiñ  shab  o  roz  be-sabab  mere
ye  zindagī  to  nahīñ  sirf  zindagī  sī  hai
thakī  to  ek  mohabbat  ne  muuñd  lī  āñkheñ
har  ek  niind  se  ab  merī  dushmanī  sī  hai
tire  baġhair  kahāñ  hai  sukūn  kyā  ārām
kahīñ  rahūñ  mirī  taklīf  begharī  sī  hai
nahīñ  vo  sham-e-mohabbat  rahī  to  phir  'āsim'
ye  kis  duā  se  mire  ghar  meñ  raushnī  sī  hai