hujūm-e-aish-o-tarab  meñ  bhī  hai  bashar  tanhā
nafas  nafas  hai  muhājir  nazar  nazar  tanhā
ye  merā  aks  hai  ā.īne  meñ  ki  dushman  hai
udaas  tishna-e-sitam  dīda-e-be-ḳhabr  tanhā
ye  qatl-gāh  bhī  hai  bāl-pan  kā  āñgan  bhī
bhaTak  rahī  hai  jahāñ  chashm-e-mo'atabar  tanhā
burā  na  maan  mire  ham-safar  ḳhudā  ke  liye
chalūñgā  maiñ  bhī  isī  raah  par  magar  tanhā
na  jaane  bhīgī  haiñ  palkeñ  ye  kyuuñ  dam-e-ruḳhsat
ki  ghar  meñ  bhī  to  rahā  huuñ  maiñ  umr-bhar  tanhā
na  bazm-e-ḳhalvatiyāñ  hai  na  hashr-e-gāh-e-avām
añdherī  raat  karūñ  kis  tarah  basar  tanhā
kisī  ġhazal  kā  koī  sher  gungunāte  chaleñ
tavīl  rāheñ  vafā  kī  haiñ  aur  safar  tanhā
nisār  kar  duuñ  ye  palkoñ  pe  kāñptī  yādeñ
tirā  ḳhayāl  jo  aa.e  dam-e-sahar  tanhā
jidhar  bhī  jaao  koī  raah  rok  letā  hai
vafā  ne  chhoḌī  nahīñ  ek  bhī  Dagar  tanhā
barat  lo  yaaro  baratne  kī  chiiz  hai  ye  hayāt
ho  laakh  tarsī  huī  talḳh-e-muḳhtasar  tanhā
umiid  kitnī  hī  māyūsiyoñ  kī  mash.al  hai
ho  rahguzār  meñ  jaise  koī  shajar  tanhā
jidhar  se  guzre  the  ma.asūm  hasratoñ  ke  julūs
sunā  ki  aaj  hai  'zaidī'  vahī  Dagar  tanhā