agar  chubhtī  huī  bātoñ  se  Darnā  paḌ  gayā  to
mohabbat  se  kabhī  tumko  mukarnā  paḌ  gayā  to
tirī  bikhrī  huī  duniyā  sameTe  jā  rahā  huuñ
agar  mujhko  kisī  din  ḳhud  bikharnā  paḌ  gayā  to
zaḳhīra  pusht  par  bāñdhā  nahīñ  tumne  havā  kā
kahīñ  gahre  samundar  meñ  utarnā  paḌ  gayā  to
vo  mujhse  duur  hotā  jā  rahā  hai  rafta  rafta
agar  us  ko  kabhī  mahsūs  karnā  paḌ  gayā  to
tum  is  raste  meñ  kyuuñ  bārūd  bo.e  jā  rahe  ho
kisī  din  is  taraf  se  ḳhud  guzarnā  paḌ  gayā  to
banā  rakhā  hai  mansūba  ka.ī  barsoñ  kā  tū  ne
agar  ik  din  achānak  tujhko  marnā  paḌ  gayā  to
tumhārī  zid  hai  'āsim'  vo  nikhāre  husn  apnā
agar  us  ke  liye  tum  ko  sañvarnā  paḌ  gayā  to